Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 55

Ek saal baad (Ek Din Achanak)                           
Ravi ke ghar par aaj subah se hi chahal pahal thi. Saara ghar aise jagmaga raha tha jaise ki aaj diwali ho. Aur ho bhi kyun na aaj uski shaadi jo thi. Saari rasmein matlab haldi chadana utarna, sagai, ladies sangeet etc. aadi bhi dhoom dhaam se nibat gaye the. Saare dost to aise khushi se jhoom rahe the jaise shaadi Ravi ki nahin unki ho rahi hai. Aaj shaadi ka wo shubh din tha jiski chah har yuvak yuvtiyon ke beech mein avasya hoti hai. Bhale hi wo kitna bhi ise avoid kare lekin man uska shaadi ke naam se prafullit jaroor hota hai.

 

Ravi bhi aaj bahut khush tha. Subah se hi uske ghar naach gaana ho raha tha. Lekin majal hai koi thak jaye. Balki har doosre gaane mein unka josh aur bhi badh jaata tha. Nachte gaate khaate peete kab shaam ho gayi pata hi nahin chala. Sab tayyariyon mein jut gaye. Sab ladies ne beauty parlour houseful kar diye. Koi makeup karwa rahi thi to koi touch-up karwa rahi thi, koi waxing kara rahi thi to koi apne balon ko ek naya roop de rahi thi. Ab ladies itna sajengi to gents kahan peeche reh jayenge.

 

Unhone bhi sab saloons par dharna de diya. Saloon walon ki chandi ho gayi kyunki wo aaj pehle ke muqable kaafi jyada paise maang rahe the aur shaadi ki khushi mein choor Ravi aur uske dost kharch karne mein peeche nahin hat rahe the. Balki kharch karne mein sabse kanjoos matlab Sanju to sabse jyada kharch kar raha tha shaadi mein.


 

Sab kisi tarah tayyar ho hi gaye. Auraton mein to jaise ek hod si lag gayi thi ki kaun sabse sundar hai. Gents bhi perfume wagairah laga kar apne aap ko handsome dikhane mein peeche nahin hat rahe the. Ravi ka to nai peecha hi nahin chod raha tha. Khair jaise taise karke Ravi ka bhi make-up poora huya aur uska chehra khil utha.



Wo kya hai makeup se to hollywood ki buddhiyan bhi kamseen jawan dikhne lagti hain aur apna Ravi to abhi bhi gabru jawaan tha.

 

Iske baad baari aayi Ravi ko dress pehnane ki jo ek jija karta hai lekin Ravi ki to koi behan nahin thi to jija kahan se aayega to ye jimmedari Jawed ne sambhal li kyunki Saloni ko Ravi ne apni behan ke taur par apna liya tha. Sabse pehle Jawed ne Ravi ko shirt pehnayi, fir pant aur ant mein coat. Har ek kapda pehnate samay photographers photo kheenchne mein peeche nahin hat rahe the.

 

Khair Ravi tayyar hua to Ravi ke parents ne Jawed ko uska neg diya. Jawed ki to chandi hi ho gayi thi kyunki iske baad use ghodi ki lagaam pakdai ka bhi neg jo milne waala tha. Ghodi ke aate hi dhol waalon ne bhi dhol bajana shuru kar diya tha. Dhol ka bajna tha aur wahan naach gaane ki dhoom mach jaani thi. Saare dost, rishtedaar sab jee bhar ke naach rahe the. Naachte huye sab GHURCHARI ke liye rawana ho gaye. Iske baad sab mandir mein pahunche jahan Ravi ne pooja prathna ki aur wapas wahan se ghodi par baith kar CHADHAT shuru kar di gayi.

 

Isi tarah jhoomte naachte sab vivaah sthal par pahunch gaye jahan vadhu paksh unka besabri se intejaar kar raha tha. Darwaje par ribbon bandhe ladkiyon ka samuh poore dwar ko ghere huye khada tha jo aaj kamar kas kar aayi thi ki apne hone wale jiju ki jeb dheeli karke hi chodengi. Darwaje par baraat pahunchi to wahan Ravi ko ghodi se utarne hi nahin diya gaya. Saare dost aur rishtedaar naach rahe the masti kar rahe the. Khair jab bade bujurgon ne jor diya to dwar par rasmein poori huyi aur thali mein paise rakhkar ribbon ko kata gaya.

 

Ribbon katne ke baad sab rishtedaar andar pahunche lekin andar pahunchte hi Ravi bas apne parents, khaas rishtedaron aur doston ke saath hi reh gaya. Baaki sab baraati khane ke liye chala gaye.



Thodi der mein KHET ka karyakram shuru huya jahan pandit ji ne saari vidhiyan sampoorn karayi. Iske baad baari aayi varmaala ki jahan dulhan ko laaya gaya. Ek rounding stage sajayi gayi thi jahan varmaala honi thi. Us par jaane ke liye sidhiyan chadke jaana tha. 

 

Dulhan ki entry huyi hall mein haath mein varmala liye to barbas sabki nigaahein usi ki taraf uth gayi. Jisne dekha bas dekhta hi reh gaya. Dulhan to kisi apsara ki tarah lag rahi thi. Ravi to bas dekhta hi reh gaya. Ek pal ko to wo soch mein hi pad gaya tha ki kahin wo sapna to nahin dekh raha. Itna haseen chehra aaj se uski aankhon ke saamne ab hamesha rahega. 

 

Dono ko stage ke paas pahuncha diya gaya jiske baad dono varmala pakde dheere dheere seedhiya chadne lage aur Ravi pehle upar pahunch gaya jahan se wo doosri seedhi ki taraf aaya jahan se dulhan aa rahi thi to Ravi ne apna haath aage badhaya aur apni dulhan ka haath thaam liya. Haath thamte hi charon taraf seetiyan bajne lag gayi aur doston ne shor machana shuru kar diya. Ravi ne apni dulhan ka haath pakad kar upar kheencha to ek baar fir se seetiyan baj gayi aur dulhan ke chehre par ek sharm ki laali cha gayi.

 

Iske baad Ravi ne dulhan ke gale mein mala dali to saara vaatavaran taliyon ki gadgadahat aur seetiyon ki awaaz se goonj utha. Iske baad dulhan ne varmaala dali to ek baar fir se vaatavaran taliyon ki awaaz se gunj utha. Isi ke saath stage ghoomni shuru ho gayi aur stage ke dono taraf se gulab ke fulon ki var vadhu par barsaat hone lagi. Dono ek doosre ki varmala pakde huye photographers ko pose de rahe the aur apne photos kheenchwa rahe the. Beech beech mein dono ki najrein milti to dono ke chehre par hi muskurat tair jaati. Thodi der mein stage ghoomni band ho gayi aur dono ko sab dost milkar neeche le aaye. Aur is tarah VARMAALA poori huyi.



Varmaala ke baad var vadhu ko stage se neeche utara gaya aur jahan dulha dulhan ki chairs rakhi gayi thi wahan le jaaya gaya. Wahan pahunchte hi sab mein hod lag gayi thi jaise ki kaun pehle naye jode ke saath photo khinchwayega. Jay ne Sonali aur Jawed ne Saloni  saath mein photo khinchwaya to Sanju ne apni girlfriend ke saath, Manish ke saath Saloni ki behan ne photo khinchwayi, to Pawan ne Riya ke saath photo khinchwayi.

 

Ravi ke kehne par uske papa ne apni jaan pehchaan se Sikander ko bhi specially do teen dino ke liye bail dilwa di thi khas taur par taaki wo Ravi ki shaadi mein var vadhu ko aashirwaad de sake aur aaj uska bail ka aakhiri din tha. Usne aate hi sabse pehla kaam ye kiya ki Jay aur Sonali ki sagai karwa di thi. Fir ek vakeel ko bula kar jaydad ke saare kagaj apne pote ke naam karwa diye jiski dekh rekh ka jimma Jay ko saunp diya gaya. In sab kamo mein do din beet gaye aur aaj wo tension free hokar Ravi ki shaadi enjoy kar raha tha.

 

Ab ghar ke aur pados ke mehmano se jyada tadaad agar Ravi ke doston ki kahen to ye atishyokti nahin hogi. Lekin Ravi ko khus dekhkar sab bahut khush the. Sabne kayi photos khinchwayi. Pehle var paksh ke logon ne to uske baad vadhu paksh ke logon ne. Iske baad photographers ne Ravi aur uski dulhan ki pehle ek saath aur fir in dono ki alag alag kayi pose mein photo khinchi. Dono behad khus najar aa rahe the.

 

Photo session khatam hone ke baad Ravi aur uski dulhan dono ko khane ki table par bula liya gaya. Jahan sabne ek doosre ko khana khilaya. Ravi ke saale saali to use poora rasgulla hi khane ko de rahe the. Kitna to ras sherwaani par bhi gir gaya lekin tab kisko hosh tha. Sab maje kar rahe the aur photographers un sunhere palon ko apne camere mein kaid karte ja rahe the.

 

Khana khatam hone ke baad dono ko vivaah vedi par laya gaya jahan vivaah ki baaki rasmein shuru ho gayi. Rasmein chalti rahi, ved, mantra panditji ki madhur vaani mein poore vatavaran mein goonjne lage aur isi beech dono ko pheron ke liye utha diya gaya. Saath phere poore hone ke baad dono ko bithaya gaya aur saat vachan dono se hi bharaye gaye. Iske baad Ravi ne apni dulhan ki maang mein sindoor aur gale mein mangalsutra dal diya.

 

In sab rasmon ke poora hone ke baad dono ko kangna khelne ke liye bulaya gaya. Jahan Ravi mutthi wala kangna jeeta to uski dulhan parat mein anguthi dhoondhne wala. Kangana kholne wale game mein bhi dulhan hi baaji mar gayi. Aur ho bhi kyun na ravi ko ek haath use karna tha aur upar se gaanth mein bhi haldi bhar di gayi thi jis wajah se wo aur majboot ho gayi thi lekin Ravi ki kalai par bandha huya kangana aise kisi chhal kapat se door tha aur do haathon se khola jaana tha.

 

In sab ke baad Ravi aur uski dulhan ko ek kamre mein le jaaya gaya jahan Ravi se chann sune gaye. Iske baad dulhan ko pag phere ke liye le jaaya gaya. Aur isi beech Ravi ki tilak ki karwayi bhi poori ho gayi. Iske baad ghadi aayi vidai ki.

 

Saara mahaul jo abhi thodi der pehle khushiyon se bhara tha achanak gham ke sagar mein dub gaya tha. Gham apni beti ki vidai ka, usse bichadne ka, uski hansi, kilkariyan, uski baatein, uski awaaz, uska bachpana, uska sab logon ka khyaal rakhna ab sab ko bechain karega. Sabki aankhon mein aansu the. Dulhan ki aankhon se to aansu thamne ka naam hi nahin le rahe the. Jis tarah bilakh bilakh kar usne apne pariwaar se vidai li koi bhi us drishya ko dekhta to uski aankhon mein bhi paani aa jata. 



To be continued....

   20
13 Comments

Kareem

13-Jan-2022 08:20 PM

Very nice

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 03:56 PM

ЁЯТЩЁЯдЮ

Reply

Seema Priyadarshini sahay

21-Nov-2021 11:34 PM

Nice

Reply